hai iztirāb har ik rañg ko bikharne kā
ki āftāb nahīñ raat bhar Thaharne kā
mujassame kī tarah mausamoñ ko sahtā hai
vo muntazir hai koī hādsa guzarne kā
laTakte sūkhte ye naqsh yūñhī ro.eñge
guzar gayā hai jo mausam thā rañg bharne kā
vo aa.ine se agar ho gayā hai be-parvā
javāz kyā hai use phir kisī se Darne kā
giregī kal bhī yahī dhuup aur yahī shabnam
is āsmāñ se nahīñ aur kuchh utarne kā
ab aag aag hai niile pahāḌ kā manzar
hameñ thā shauq bahut us ke paar utarne kā
agarche us kī har ik baat khurdurī hai bahut
mujhe pasand hai Dhañg us ke baat karne kā
diyā hai jis ne bhī chup kā sharāp lafzoñ ko
use ḳhabar hai nahīñ lafz koī marne kā
hameñ ḳhabar hai hamāre safar kī ai 'manzūr'
kaheñge ham hī na hai rāstā sañvarne kā