kab is zamīñ kī samt samundar palaT kar aa.e
iz.hār-e-avvalīñ kā vo manzar palaT kar aa.e
jab harf likh diyā hai to kyuuñ mushtahar na ho
niklā kamāñ se tiir to kyūñkar palaT kar aa.e
ho saare shahr meñ ye munādī ki jashn ho
apnī hī saf meñ haare dilāvar palaT kar aa.e
yā be-ḳhabar the vus.at-e-dariyā-e-rang se
yā chashm-e-be-hunar the shanāvar palaT kar aa.e
bāzār pur-hujūm ḳharīdār kam-savād
chup-chāp le ke apne gul-e-tar palaT kar aa.e
itne baḳhīl peḌ na dekhe the aaj tak
be-fasl be-samar mire patthar palaT kar aa.e
asnām kā hujūm kabhī is qadar na thā
in vādiyoñ meñ kaun se aazar palaT kar aa.e
kyā ik khulā fusūñ hai shafaq rañg dopahar
kyā raat ho ga.ī hai ki shahpar palaT kar aa.e
'manzūr' phir zamīñ pe ujālā ho ek baar
kaash ek baar phir vo payambar palaT kar aa.e