Hakeem Manzoor

sare chehre tanbe ke hain lekin sab par qali hai

Hakeem Manzoor

saare chehre tāñbe ke haiñ lekin sab par qal.ī hai
mohmal tāba-e-mohmal kyā hai donoñ kā ik ma.anī hai
mānte haiñ aap is ke qad meñ us kā qad shāmil hī na thā
aage ham kyuuñ bahseñ sāhab itnī baat hī kaafī hai
dhaan ke khetoñ kā sab sonā kis ne churāyā kaun kahe
be-mausam be-fasl abhī tak is iz.hār kī dhartī hai
andeshe andāze ban kar mere safar ke ḳhvāb bane
har bastī meñ aa kar sochā shāyad aage bastī hai
us kī sadā se gūñge lamhe paa.el jaise bajte haiñ
bachchoñ jaisā ḳhush hotā huuñ jab bhī bārish hotī hai
be-mashshāta husn kī gaañv gaañv thā vo kahāñ gayā
bed ke sāya-zāroñ ne kab pahchān apnī khoī hai
mālik saat samundaroñ kī vus.at kā huuñ maiñ lekin
merā dil kyuuñ bhar aatā hai jab koī naddī sūkhtī hai
apne aap se maiñ sharminda hotā jo mujrim hotā
mere baare meñ ye duniyā kahne do jo kahtī hai
manzūr apne dast-e-tahī ko dekh ke tujh se pūchhe kyuuñ
harf-e-suḳhan ik tere sivā hai kaun sī shai jo sastī hai
Top Urdushayar.com