TuuT kar bikhre na sūraj bhī hai mujh ko Dar bahut
habs andar se ziyāda aaj hai bāhar bahut
mujh ko bhī aatā hai fan sāhib-navāzī kā magar
kyā karūñ merī anā mujh se bhī hai ḳhud-sar bahut
ġham-zada kartī hai mujh ko bas darūñ-bīnī mirī
yuuñ to maiñ bhī dekhtā huuñ ḳhushnumā manzar bahut
apnī āñkheñ ghar pe rakh kar bhī tamāshā.ī haiñ log
aur un kī is adā par ḳhush haiñ bāzīgar bahut
ab tarāshā hī nahīñ jaatā kabhī paikar koī
aaj bhī aazar bahut haiñ aaj bhī patthar bahut
maiñ kisī kī be-gharī kā kis liye mātam karūñ
zindagī ḳhud aaj lagtī hai mujhe be-ghar bahut
gul-parastī par na kar isrār ai 'manzūr' tū
dekh har ik moḌ par haiñ shahr meñ patthar bahut