ḳhud apne-āp se milne kā maiñ apnā irāda huuñ
maiñ har mausam ko sah kar bhī abhī tak īstāda huuñ
azal se māvarā rañgoñ se huuñ ye merā da.avā hai
asās-e-rañg par jāñcho na mujh ko naqsh-e-sāda huuñ
tirā saaya hai ā.īna chamakte āftāboñ kā
maiñ apne jism meñ be-paikarī kā ik labāda huuñ
mujhe hairat, maiñ ik nuqte kī sūrat kis tarah simTā
ḳhalā hai aañkh merī maiñ samundar se kushāda huuñ
mujhe lagtī hai duniyā ek Thokar apne paañv kī
maiñ jaane kaisī ujḌī saltanat kā shāhzāda huuñ
mujhe lagte haiñ ḳhush sab seb sūrat aaj bhī 'manzūr'
ki maiñ apne kisī ahd-e-shikasta kā i.aada huuñ