aag jo bāhar hai pahuñchegī andar bhī
saa.e jal jā.eñge aur phir paikar bhī
terī āñkhoñ meñ aañsū bhī dekhe haiñ
tere hāthoñ meñ dekhā hai ḳhanjar bhī
pārakh hai to mujh ko parakh hushyārī se
maiñ ik gauhar bhī huuñ maiñ ik patthar bhī
ḳhvāboñ meñ bhī rahtā huuñ bechain bahut
chain nahīñ miltā hai mujh ko so kar bhī
kab tak jañg laḌegā tere sūraj se
sūkhegā ik din āḳhir ye sāgar bhī
shafaq-e-shām kā din bhar thā armān mujhe
ḳhūn-ālūda niklā hai ye manzar bhī
phuul kī patī bhī hai baar mujhe 'manzūr'
dekhoge to lagtā huuñ ik patthar bhī