Gorbachan Singh Dayal Maghmum

bahut waqif hain lab-e-ah-o-fughan se

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

Hoshiarpur, Punjab, India

1934
bahut vāqif haiñ lab-e-āh-o-fuġhāñ se
tabassum hai kahāñ lā.ūñ kahāñ se
tasavvur bhuul jaatā hai ḳhudā ko
ye Takrāyā hai jab āh-o-fuġhāñ se
yaqīñ hone ko hai māyūsiyoñ par
tavaqqo uTh rahī hai āsmāñ se
muqaffal ho zabāñ jis be-navā kī
vo kyuuñ kar kyā kahe apnī zabāñ se
kahe kuchh bhī magar pur-soz hogā
hameñ ummīd hai apnī zabāñ se
ilāhī ḳhair mere āshiyāñ kī
dhuāñ sā uTh rahā hai gulistāñ se
kahīñ dhoka na ho 'maġhmūm' ye bhī
nazar aate haiñ kuchh dhuñdle nishāñ se
Top Urdushayar.com