Khan Arzoo Sirajuddin Ali

falak ne ranj tir-e-ah se mere zi-bas khencha

Khan Arzoo Sirajuddin Ali

Agra, Uttar pradesh, India

1688-1756
falak ne ranj tīr-e-āh se mere ze-bas kheñchā
laboñ tak dil se shab naale ko maiñ ne niim ras kheñchā
mire shoḳh-e-ḳharābātī kī kaifiyyat na kuchh pūchho
bahār-e-husn ko dī aab us ne jab charas kheñchā
rahā josh-e-bahār is fasl gar yūñhī to bulbul ne
chaman meñ dast-e-gul-chīñ se ajab ranj is baras kheñchā
kahā yuuñ sāhib-e-mahmil ne sun kar soz majnūñ kā
takalluf kyā jo naala be-asar misl-e-jaras kheñchā
nazākat rishta-e-ulfat kī dekho saañs dushman kī
ḳhabardār 'ārzū' Tuk garm kar tār-e-nafas kheñchā
Top Urdushayar.com