Gorbachan Singh Dayal Maghmum

phir mujhe jine ki dua di hai

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

Hoshiarpur, Punjab, India

1934
phir mujhe jiine kī duā dī hai
ya.anī phir ik hasīñ sazā dī hai
zulm sah kar bhī ham ne zālim ke
haath chūme haiñ aur duā dī hai
kyuuñ gila ho ki ham ko qudrat ne
ye kisī jurm kī sazā dī hai
shukriya tū ne ek Thokar se
rūh-e-ḳhvābīda ik jagā dī hai
husn ko kyā ḳhabar ki ḳhud us ne
sho.ala-e-ishq ko havā dī hai
mausam-e-gul ne aa ke gulshan meñ
jaane kyā aag sī lagā dī hai
ham ne dāġhoñ ke nuur se 'maġhmūm'
raunaq-e-bazm-e-dil baḌhā dī hai
Top Urdushayar.com