Khaleel Ahmad

fasil-e-shahr pe likkhi hai dastan meri

Khaleel Ahmad

fasīl-e-shahr pe likkhī hai dāstāñ merī
maiñ kaise baat karūñ qaid hai zabāñ merī
mohabbatoñ ke bhī ye silsile ajiib se haiñ
judā hai mujh se magar phir bhī hai vo jaañ merī
maiñ apne shahr meñ rah kar bhī ajnabī sā rahā
ki koī suntā nahīñ baat bhī yahāñ merī
jo jaan letā thā andar kā haal āñkhoñ se
use sunā.ī nahīñ detīñ siskiyāñ merī
ḳhudāyā terā karam hai ki mujh ko izzat dī
vagarna itnī bhī auqāt thī kahāñ merī
Top Urdushayar.com