Khaleel Ahmad

andheri shab hai meri jaan zara sa soch to le

Khaleel Ahmad

añdherī shab hai mirī jaañ zarā sā soch to le
bujhā charāġh kabhī kaam aa hī jaatā hai
kisī kā naam pukāreñ kisī ko yaad kareñ
hamāre lab pe tirā naam aa hī jaatā hai
davā-e-dard-e-jigar jab bhī māñgtā huuñ maiñ
to mere sāmne ik jaam aa hī jaatā hai
ḳhatā.eñ shahr kā hākim kare yā aur koī
magar ġharīb pe ilzām aa hī jaatā hai
chale the ham ki abhī ibtidā-e-ulfat hai
kise ḳhabar thī ki anjām aa hī jaatā hai
jo mujh pe pahre lagātā hai us ko ilm nahīñ
vo shahr-e-dil meñ sar-e-ām aa hī jaatā hai
tujhe bhulāne kī koshish to kar rahā huuñ 'ḳhalīl'
ḳhayāl terā sar-e-shām aa hī jaatā hai
Top Urdushayar.com