Khaleel Ahmad

jaane dil ka aankh se kaisa rishta hai

Khaleel Ahmad

jaane dil kā aañkh se kaisā rishta hai
choT lage to aañkh se aañsū bahtā hai
pal pal na.e Thikāne DhūñDhtā rahtā hai
merā dil bhī na.e parinde jaisā hai
mere dil ke ujḌe ujḌe sahrā meñ
ek diyā sā jaltā bujhtā rahtā hai
dekhnā kaale bādaloñ ne na Dhāñkā ho
apnī marzī se kab sūraj chhuptā hai
kaun likhegā Dhalte sūraj kā qissa
jo likhtā hai chāñd kī bāteñ likhtā hai
pal pal rañg badaltī duniyā meñ ai dost
apne ḳhuun se to paanī bhī mahñgā hai
tū bhī hai lā-ilm 'ḳhalīl' ke siine meñ
terī yādoñ kā ik taptā sahrā hai
Top Urdushayar.com