kabhī to aao mirī chashm-e-tar meñ shaam Dhale
ki koī aatā nahīñ is nagar meñ shaam Dhale
maiñ apne chehre pe ḳhushiyāñ sajā.e phirtā huuñ
charāġh jalte haiñ ashkoñ ke ghar meñ shaam Dhale
maiñ ban ke chāñd use rāsta dikhātā rahūñ
kabhī to mujh ko mile vo safar meñ shaam Dhale
na aa.ī raas hameñ aap kī masīhā.ī
ki dard uThtā hai ab bhī jigar meñ shaam Dhale
ye ek aur shikāyat bhī tujh se karnī thī
ki chāñd aatā nahīñ mere ghar meñ shaam Dhale
'ḳhalīl' vahm hai merā yā bad-havāsī hai
yahāñ pe sub.h chale aur nazar meñ shaam Dhale