gilā kyā karūñ ai falak batā mire haq meñ jab ye jahāñ nahīñ
kahūñ kaise hāl-e-dil un se maiñ mirī hiltī tak ye zabāñ nahīñ
ye bhañvar haiñ bahr-e-hayāt ke maiñ huuñ ḳhasta-hāl-o-shikasta-o-dil
mirī Dagmagātī hai naav ab kahīñ miltā mujh ko karāñ nahīñ
tujhe DhūñDūñ bhī to kahāñ ki jab huuñ maiñ ḳhud hī zulmat-e-yās meñ
mujhe bazm-e-hastī meñ mil sakā tere naqsh-e-pā kā nishāñ nahīñ
ġham-e-dil hī merā nikāl do mirī zindagī se jo tum agar
to vo dāstāñ hī kuchh aur hai mire hāl-e-dil kā bayāñ nahīñ
maiñ sunā.ūñ kis ko ye hāl-e-dil maiñ dikhā.ūñ kis ko ye dard-o-ġham
maiñ huuñ aisī hālat-e-zār meñ ki ḳhud apnā mujh ko gumāñ nahīñ
nahīñ giit bāda-o-jām ke yahāñ aur hī koī baat hai
ki maiñ jis balā meñ huuñ mubtalā vo balā-e-ishq-e-butāñ nahīñ
tū hai zarre zarre meñ zau-fishāñ nahīñ miltā phir bhī kahīñ nishāñ
koī 'shaġhl' ab ye batā.e kyā tū kahāñ hai aur kahāñ nahīñ