Khaleel Ahmad

dukhon se aur ghamon se dosti hai

Khaleel Ahmad

dukhoñ se aur ġhamoñ se dostī hai
haqīqat meñ yahī to zindagī hai
ḳhushī pal bhar magar ġham zindagī bhar
ḳhushī se ġham ziyāda qīmtī hai
agar raushan ho dil siine ke andar
añdherī raat bhī phir chāñdnī hai
gale meñ Dāltā hai hijr bāheñ
udāsī mere paañv chūmtī hai
baḌī muddat huī ham ne 'ḳhalīl' ab
zamāne meñ ḳhushī dekhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com