ujḌī huī āñkhoñ meñ sitāre nahīñ milte
dariyā-e-mohabbat ke kināre nahīñ milte
is daur meñ atfāl ko bahlāne kī ḳhātir
bārūd to miltā hai ġhubāre nahīñ milte
matlab ho to har moḌ pe mil jaate haiñ hamdard
mushkil meñ kabhī yaar piyāre nahīñ milte
baiThe haiñ koī qāsid-e-yār aa.e idhar bhī
muddat huī maktūb tumhāre nahīñ milte
bahtā hai lahū shahr kī har ek galī meñ
āñkhoñ ko gulistāñ ke nazāre nahīñ milte
ik dard kā maarā mire andar hī chhupā hai
aur us ko kahīñ dard ke maare nahīñ milte