na.e ḳhvāboñ se Dar lagne lagā hai
ye rasta pur-ḳhatar lagne lagā hai
ye kaisā daur aayā be-hisī kā
mujhe zindān ghar lagne lagā hai
bichhaḌ jā.egā tū mujh se kisī din
na lagtā thā magar lagne lagā hai
zarā dekho mirī saada tabī.at
ki qātil chāragar lagne lagā hai
safar meñ ham-safar tum kyā hue ho
safar ab muḳhtasar lagne lagā hai
'ḳhalīl' us se tumheñ nafrat thī lekin
tumheñ kyuuñ mo'atabar lagne lagā hai