baat kuchh bhī na thī fasāna huā
merī rusvā.ī kā bahāna huā
thī ye ḳhvāhish kaheñge sab kuchh ham
un ke aage to lab bhī vā na huā
roz aatī hai ik na.ī aafat
dil mirā jab se āshiqāna huā
kyuuñ taḌaptā hai phir dil-e-muztar
kis balā kā ye phir nishāna huā
tū ne chhoḌā hai saath jab se nadīm
haa.e dushman mirā zamāna huā
mar hī jaanā thā ham ko to ik roz
un kī furqat magar bahāna huā
aaj kahte haiñ bāñdh kar gaThrī
ġham kī 'maġhmūm' phir ravāna huā