Kashif Husain Ghair

ghaaliban waqt ki kami hai yahan

Kashif Husain Ghair

Karachi, Sindh, Pakistan

1979
ġhāliban vaqt kī kamī hai yahāñ
varna har chiiz dīdanī hai yahāñ
saare raste idhar hī aate haiñ
ye jo ābād ik galī hai yahāñ
ye havā yuuñ hī ḳhaak chhāntī hai
yā koī chiiz kho ga.ī hai yahāñ
zindagī hī mirā asāsa hai
vo bhī taqsīm ho rahī hai yahāñ
kyuuñ añdherā nazar nahīñ aatā
kaun sī aisī raushnī hai yahāñ
maut kaasa uThā.e phirtī hai
aur tahī-dast zindagī hai yahāñ
mere andar kā shor hai mujh meñ
varna bāhar to ḳhāmushī hai yahāñ
shahr apnā dikhā.ī detā hai
vaise har shaḳhs ajnabī hai yahāñ
kaun sī shai hai dā.imī 'ġhā.er'
kaun sī baat āḳhirī hai yahāñ
Top Urdushayar.com