Kashif Husain Ghair

ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai

Kashif Husain Ghair

Karachi, Sindh, Pakistan

1979
ik din dukh kī shiddat kam paḌ jaatī hai
kaisī bhī ho vahshat kam paḌ jaatī hai
zinda rahne kā nashsha hī aisā hai
jitnī bhī ho muddat kam paḌ jaatī hai
apne aap se miltā huuñ maiñ fursat meñ
aur phir mujh ko fursat kam paḌ jaatī hai
sahrā meñ aa nikle to ma.alūm huā
tanhā.ī ko vus.at kam paḌ jaatī hai
kuchh aisī bhī dil kī bāteñ hotī haiñ
jin bātoñ ko ḳhalvat kam paḌ jaatī hai
ik din yuuñ hotā hai ḳhush rahte rahte
ḳhush rahne kī aadat kam paḌ jaatī hai
kāshif-'ġhā.er' dil kā qarz chukāne meñ
duniyā bhar kī daulat kam paḌ jaatī hai
Top Urdushayar.com