haal pūchhā na kare haath milāyā na kare
maiñ isī dhuup meñ ḳhush huuñ koī saayā na kare
maiñ bhī āḳhir huuñ isī dasht kā rahne vaalā
kaise majnūñ se kahūñ ḳhaak uḌāyā na kare
aa.ina mere shab o roz se vāqif hī nahīñ
kaun huuñ kyā huuñ mujhe yaad dilāyā na kare
ain-mumkin hai chalī jaa.e samā.at merī
dil se kahiye ki bahut shor machāyā na kare
mujh se rastoñ kā bichhaḌnā nahīñ dekhā jaatā
mujh se milne vo kisī moḌ pe aayā na kare