hamārī baat kā ulTā asar na paḌ jaa.e
ye dil kā bojh kahīñ jaan par na paḌ jaa.e
tamām raat sulagtā huuñ aur sochtā huuñ
kisī charāġh kī mujh par nazar na paḌ jaa.e
isī ḳhayāl se zaḳhmoñ kī rū-numā.ī na kī
ki imtihāñ meñ kahīñ chāra-gar na paḌ jaa.e
phir is ke ba.ad kahāñ jā.eñge ye sāya-pasand
idhar kī dhuup kisī din udhar na paḌ jaa.e
lagī to hai ye barābar mire ta.āqub meñ
gale havā ke kahīñ ye safar na paḌ jaa.e
ye dasht-e-ishq hai ġhā.er zarā ḳhayāl rahe
tumhārā paañv kisī din idhar na paḌ jaa.e