dast-bardār zindagī se huā
aur ye saudā mirī ḳhushī se huā
āgahī bhī na kar sakī puurā
jitnā nuqsān āgahī se huā
maiñ huā bhī to ek din raushan
apne andar kī raushnī se huā
zindagī meñ kasak zarūrī thī
ye ḳhalā pur tirī kamī se huā
dil tarafdār-e-hijr thā hī nahīñ
ab huā bhī to be-dilī se huā
shor jitnā hai kā.enāt meñ shor
mere andar kī ḳhāmushī se huā
kaisā mansab hai aadmī kā ki rab
jab muḳhātib huā usī se huā
peḌ ho yā ki aadmī 'ġhā.er'
sar-buland apnī ājizī se huā