na hone kā gumāñ rakkhā huā hai
ki hone meñ ziyāñ rakkhā huā hai
zamīñ ke jism par qabreñ nahīñ haiñ
ḳhayāl-e-raftagāñ rakkhā huā hai
sar-e-mizhgāñ mire aañsū nahīñ haiñ
sulūk-e-dostāñ rakkhā huā hai
yahāñ jo ik charāġh-e-zindagī thā
na jaane ab kahāñ rakkhā huā hai
ye duniyā ik tilism-e-āb-o-gil hai
yahāñ sab rā.egāñ rakkhā huā hai