mirī āh-o-fuġhāñ kuchh bhī nahīñ hai
jale dil kā dhuāñ kuchh bhī nahīñ hai
na taḌpāyā kisī zālim ko us ne
mirī tarz-e-bayāñ kuchh bhī nahīñ hai
jahāñ ho bijliyoñ kā ḳhauf paiham
sukūn-e-āshiyāñ kuchh bhī nahīñ hai
har ik shai ban ga.ī shīshe kī mānind
ab apne darmiyāñ kuchh bhī nahīñ hai
ḳhudā go zarre zarre se ayaañ hai
magar zarra yahāñ kuchh bhī nahīñ hai
jo dekho to sabhī kuchh hai jahāñ meñ
jo samjho to jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
tavānā.ī kī duniyā meñ ai 'maġhmūm'
bisāt-e-nā-tavāñ kuchh bhī nahīñ hai