nazar milī to nazāroñ meñ baañT dī maiñ ne
ye raushnī bhī sitāroñ meñ baañT dī maiñ ne
bas ek shaam bachī thī tumhāre hisse kī
magar vo shaam bhī yāroñ meñ baañT dī maiñ ne
janāb qarz chukāyā hai yuuñ anāsir kā
ki zindagī inhī chāroñ meñ baañT dī maiñ ne
pukārte the barābar mujhe safar ke liye
matā-e-ḳhvāb savāroñ meñ baañT dī maiñ ne
havā mizāj thā kartā bhī kyā samundar kā
ik ek lahr kināroñ meñ baañT dī maiñ ne