Kashif Husain Ghair

tha bahut shor yahan ek zamane mein mera

Kashif Husain Ghair

Karachi, Sindh, Pakistan

1979
thā bahut shor yahāñ ek zamāne meñ mirā
ab koī aks nahīñ ā.ina-ḳhāne meñ mirā
raah se aañkh milāne kā hunar jaan gayā
vaqt to sarf huā ḳhaak uḌāne meñ mirā
apnī yakjā.ī se tanhā.ī se puurā na huā
jitnā nuqsān huā shahr basāne meñ mirā
jāntā huuñ ki use merī zarūrat hī nahīñ
varna kyā jaatā bhalā lauT ke aane meñ mirā
daad kyā kyā na harīfoñ se mujhe miltī rahī
haañ magar jī na lagā sher sunāne meñ mirā
koī ta.azīr ki maiñ ne bhī mohabbat kī hai
kuchh to hissa hai ye tahrīk chalāne meñ mirā
apne kirdār se insāf kiyā hai maiñ ne
aur kirdār nahīñ koī fasāne meñ mirā
Top Urdushayar.com