apnā bhī bojh mujh se kahāñ Thiik se uThā
ye saarā mas.ala mirī tashkīk se uThā
vo haal thā ki bas mirā uThnā muhāl thā
lekin phir ek ḳhvāb kī tahrīk se uThā
kāñdhoñ pe tere ābrū-mandī kā bojh hai
ye rāh-e-zindagī hai qadam Thiik se uThā
'kāshif' husain ḳhalq ke uThne kī der thī
ik āftāb gosha-e-tārīk se uThā
'kāshif' husain mujh se mujhe duur le gayā
kyā shor thā ki jo mire nazdīk se uThā