Kashif Husain Ghair

waqt mazdur hai ujrat dije

Kashif Husain Ghair

Karachi, Sindh, Pakistan

1979
vaqt mazdūr hai ujrat diije
ek ik lamhe kī qīmat diije
mujh se ye bojh nahīñ uTh saktā
mashvara koī mujhe mat diije
hijr kī raat nahīñ Dhalne kī
ab charāġhoñ ko ijāzat diije
kaam kuchh dil ke haiñ kuchh duniyā ke
ik zarā sī mujhe mohlat diije
dil ko ābād hī karnā hai to phir
vahī dīvār vahī chhat diije
dil hai duniyā to nahīñ hai koī
jitnī chāhe ise vus.at diije
ḳhud bhī rakh sakte haiñ ham apnā ḳhayāl
kyā kisī aur ko zahmat diije
Top Urdushayar.com