Gorbachan Singh Dayal Maghmum

taDap to aaj bhi kuchh kam nahin hai

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

Hoshiarpur, Punjab, India

1934
taḌap to aaj bhī kuchh kam nahīñ hai
magar ye chashm ab pur-nam nahīñ hai
hue jab fart-e-ġham se ḳhushk aañsū
vo ye samjhe ki mujh ko ġham nahīñ hai
dhuāñ sā ik uThā kartā hai dil meñ
tirī yaad aah ab bhī kam nahīñ hai
vo rāheñ bhī koī rāheñ haiñ yaaro
ki jin meñ koī pech-o-ḳham nahīñ hai
ravāñ huuñ yuuñ to ab bhī sū-e-manzil
qadam uThte haiñ lekin dam nahīñ hai
bhalā vo zindagī kyā zindagī hai
ḳhushī ke saath jis meñ ġham nahīñ hai
huā ḳhāmosh ye 'maġhmūm' kaise
hai nā-mumkin ki us ko ġham nahīñ hai
Top Urdushayar.com