mujh se mansūb hai ġhubār mirā
qāfile meñ na kar shumār mirā
har na.ī shaam merī ujrat hai
din batānā hai rozgār mirā
ye terī jāgtī huī āñkheñ
in pe har ḳhvāb ho nisār mirā
kaun aatā nahīñ idhar phir bhī
dhyān jaatā hai baar baar mirā
raat ke saath saath baḌhtā gayā
in charāġhoñ pe e'tibār mirā
vaqt itnā kahāñ thā vaqt ke paas
varna kartā vo intizār mirā
kyā ajab hai ki sar-buland kare
ek din mujh ko inkisār mirā
niiñd par merī dastaras ġhā.er
aur na ḳhvāboñ pe iḳhtiyār mirā