Kashif Husain Ghair

har sham dilati hai use yaad hamari

Kashif Husain Ghair

Karachi, Sindh, Pakistan

1979
har shaam dilātī hai use yaad hamārī
itnī to havā kartī hai imdād hamārī
kuchh haiñ bhī agar ham to giraftār haiñ apne
zanjīr nazar aatī hai āzād hamārī
ye shahr nazar aatā hai ham-zād hamārā
aur gard nazar aatī hai fariyād hamārī
ye raah batā saktī hai ham kaun haiñ kyā haiñ
ye dhuul sunā saktī hai rūdād hamārī
ham gosha-nashīnoñ se hai mānūs kuchh aisī
jaise ki ye tanhā.ī ho aulād hamārī
achchhā hai ki dīvār ke saa.e se raheñ duur
paḌ jaa.e na dīvār pe uftād hamārī
Top Urdushayar.com