guzishtagāñ meñ hamārā shumār hone meñ
ab aur vaqt hai kitnā ġhubār hone meñ
tū merā raaz bhī kaise chhupā gayā mujh se
tirā javāb nahīñ rāzdār hone meñ
ye qaid-ḳhāna bhī ik shab meñ kitnā phail gayā
ab aur der lagegī farār hone meñ
yahāñ kisī kā koī ġham-gusār kyuuñ hogā
ki fā.eda hī nahīñ ġham-gusār hone meñ
hai ek umr kā hāsil hamārī bekārī
gañvā.eñ kyuuñ ise masrūf-e-kār hone meñ
is ek ashk-e-nadāmat pe naaz kar ġhā.er
kahāñ ye baat ibādat-guzār hone meñ