jab milī un se nazar miTne kā sāmāñ ho gayā
ai qazā ḳhush ho tirā ab kaam āsāñ ho gayā
dilrubā ma.alūm hotī haiñ mujhe tanhā.iyāñ
naqsh har shai kā mujhe tasvīr-e-jānāñ ho gayā
merī ḳhvāhish thī ki lūTūñ lazzat-e-duniyā magar
vus.at-e-hirs-o-havā se tañg dāmāñ ho gayā
baḌh rahī haiñ qīmateñ har chiiz kī bāzār meñ
ek aisā ġham hai jo ab aur arzāñ ho gayā
shomi-e-qismat kaheñ yā ḳhaslat-e-insāñ ise
aa ke qābiz bazm-e-hastī par ye mehmāñ ho gayā
sho.ala-zan hai dil yahāñ to dāġh-hā-e-rañj se
aur vo kahte haiñ ḳhush ho kar charāġhāñ ho gayā
dekh kar chāroñ taraf āsār-e-ġham āh-o-fuġhāñ
kyā karūñ 'maġhmūm dil merā hirāsāñ ho gayā