hashr meñ phir vahī naqshā nazar aatā hai mujhe
aaj bhī vāda-e-fardā nazar aatā hai mujhe
ḳhalish-e-ishq miTegī mire dil se jab tak
dil hī miT jā.egā aisā nazar aatā hai mujhe
raunaq-e-chashm-e-tamāshā hai mirī bazm-e-ḳhayāl
is meñ vo anjuman-ārā nazar aatā hai mujhe
un kā milnā hai nazar-bandī-e-tadbīr ai dil
saaf taqdīr kā dhokā nazar aatā hai mujhe
tujh se maiñ kyā kahūñ ai soḳhta-e-jalva-e-tūr
dil ke ā.īne meñ kyā kyā nazar aatā hai mujhe
dil ke pardoñ meñ chhupāyā hai tire ishq kā raaz
ḳhalvat-e-dil meñ bhī pardā nazar aatā hai mujhe
ibrat-āmoz hai barbādi-e-dil kā naqsha
rañg-e-nairañgī-e-duniyā nazar aatā hai mujhe