kyā hai ūñchā.ī mohabbat kī batāte jaao
panchhiyoñ uḌ ke yuuñ hī ḳhvāb dikhāte jaao
peḌ patthar kā javāb aaj bhī dete phal se
choT khaao bhale par rishte nibhāte jaao
yuuñ bhī paiġhām mohabbat kā pahuñch jā.egā
saath insāñ ke parindoñ ko basāte jaao
shahr meñ kaam bahut saare samay lekin kam
mat karo baat magar haath hilāte jaao
ik do mat-bhed to har ghar meñ huā karte haiñ
in ko netā jī havā mat do bujhāte jaao
gaañv meñ naav thī kāġhaz kī safar āsāñ thā
ik musāfir huuñ yahāñ raah dikhāte jaao
gāliyāñ aise hī do mujh ko hamesha 'ātish'
ġhalatiyāñ merī isī tarah batāte jaao