Syed Mazhar Gilani

ab kyun harim-e-naz mein sarmastiyan nahin

Syed Mazhar Gilani

ab kyuuñ harīm-e-nāz meñ sarmastiyāñ nahīñ
ham vo nahīñ ki aap meñ vo shoḳhiyāñ nahīñ
dil hī nahīñ jo soz-e-junūñ se tapāñ nahīñ
kyā zindagī jo vaqf-e-ġham-e-jāvedāñ nahīñ
har-vaqt ab to jaib-o-garebāñ haiñ chaak chaak
ehsās ehtimām-e-bahār-o-ḳhizāñ nahīñ
ajzā-e-hast-o-būd mohabbat meñ kho ga.e
ik vahm hai so us kā bhī koī gumāñ nahīñ
kaunain mere panja-e-vahshat kī zad meñ haiñ
mere junūñ kī qaid makāñ lā-makāñ nahīñ
go ārzū-e-jur.at-e-rindāna hai magar
hāsil ba-qadr zauq ma-e-arġhavāñ nahīñ
maiñ pā.emāl-e-vāda-e-fardā zarūr huuñ
lekin fareb-ḳhurda-e-nāz-e-butāñ nahīñ
ifshā-e-rāz-e-ishq kā azm-e-buland hai
'maz.har' ab aur tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ nahīñ
Top Urdushayar.com