dil kī qismat ki tire dil meñ samo bhī na sakā
aur tā-zīst kisī aur kā ho bhī na sakā
ġham-e-paiham ne kabhī fursat-e-ehsās na dī
kyā javānī thī ki jī-bhar ke maiñ ro bhī na sakā
paar bhī kar na sakā bahr-e-junūñ se kam-baḳht
aur dil ziist kī kashtī ko Dubo bhī na sakā
umr-bhar ahd-e-vafā tishna-e-takmīl rahā
maiñ use pā na sakā vo mujhe kho bhī na sakā
jāgne bhī na diyā shauq-e-tasavvur ne kabhī
aur 'maz.har' maiñ kabhī raat ko so bhī na sakā