riñd mansūb bahar-kaif rahā jaam ke saath
zikr aa jaatā hai apnā bhī tire naam ke saath
dil ne ehsās-e-tabāhī ko panapne na diyā
jaam gardish meñ rahā gardish-e-ayyām ke saath
zindagī ko kabhī tartīb mayassar na huī
ruḳh badalte rahe hālāt har ik gaam ke saath
aap to aap zamāna hai gurezāñ ham se
kaun rakhtā hai ta.alluq kisī badnām ke saath
hosh ko fursat-e-ehsās kahāñ baaqī thī
aañkh chaltī rahī saaqī kī har ik jaam ke saath
mashġhala koī nahīñ bāda-gusārī ke baġhair
aisā mānūs huā dil nigah-o-jām ke saath
shāmil-e-hāl rahīñ un kī jafā.eñ 'maz.har'
zindagī varna guzartī mirī ārām ke saath