Syed Mazhar Gilani

qadam qadam pe wafa ka dayar rah mein hai

Syed Mazhar Gilani

qadam qadam pe vafā kā dayār raah meñ hai
ḳhushā ki naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār raah meñ hai
har ek mauj meñ sāz-e-fareb hai jis kī
vo ik sarāb ba-har-e'tibār raah meñ hai
ye uḌ rahī hai jo ḳhūñ-rañg ḳhaak har jānib
kisī shahīd-e-junūñ kā mazār raah meñ hai
na koī baat na maqsad na aarzū na savāl
bas ek ġhalġhala-e-gīr-o-dār raah meñ hai
sukūn-e-shab hama naġhma fazā-e-shab hama nuur
magar abhī koī shab-zinda-dār raah meñ hai
pahuñch chuke haiñ idhar ham-safar sar-e-manzil
udhar abhī ḳhalish-e-intizār raah meñ hai
qadam qadam pe garebāñ qadam qadam pe lahū
yahī to ek subūt-e-bahār raah meñ hai
tirī talab ke taqāze tire husūl ke ḳhvāb
tirī talāsh bahar-e'tibār raah meñ hai
Top Urdushayar.com