aap kī shoḳhī-e-inkār na.ī baat nahīñ
ye to ma.amūl hai sarkār na.ī baat nahīñ
aap ko ḳhūn-e-tamannā pe ta.ajjub kyuuñ hai
roz mar jaate haiñ bīmār na.ī baat nahīñ
choT paḌtī nahīñ ehsās pe ab muddat se
aap kī talḳhī-e-guftār na.ī baat nahīñ
husn-e-iḳhlās ke badle meñ junūñ miltā hai
aam hai shāmat-e-kirdār na.ī baat nahīñ
pursish-e-hāl ke ba.ad un ko taraddud kaisā
kah chuke ham to ka.ī baar na.ī baat nahīñ