zamāne-bhar meñ koī bhī vafā-sipās nahīñ
ḳhudā-shanās bahut haiñ adā-shanās nahīñ
mirī nazar kā har andāz hai jamāl-āgīñ
mire junūñ kā koī marhala udaas nahīñ
mire ḳhayāl kī rañgīniyāñ haiñ lā-mahdūd
ye qaid-o-band shab-o-roz mujh ko raas nahīñ
kuchh is adā se maiñ khoyā gayā mohabbat meñ
zamāna biit gayā hai bajā havās nahīñ
dar-e-jamāl pe maz.har sujūd kyā ma.anī
vaqār-e-ishq shanāsa-e-iltimās nahīñ