Syed Mazhar Gilani

hasr-afrin hai kucha-e-jaanana aaj-kal

Syed Mazhar Gilani

hasr-āfrīñ hai kūcha-e-jānāna āj-kal
bahkī huī hai ḳhū-e-muhibbānā āj-kal
phir bik rahī hai jins-e-vafā kauḌiyoñ ke mol
phir har vafā-shi.ār hai begāna āj-kal
phir uTh rahī haiñ dasht-o-bayābāñ kī raunaqeñ
phir har junūñ-frosh hai farzāna āj-kal
phir shola-kār haiñ chamanistān-e-lāla-zār
phir bijliyāñ haiñ raunaq-e-kāshāna āj-kal
phir har junūñ-sarisht ḳhirad se hai bahra-var
phir kho gayā taqaddus-e-vīrāna āj-kal
har dil meñ jalva-rez hai phir jazba-e-ḳhudī
anqā hai etibār-e-mulūkāna āj-kal
phir miT ga.e diloñ se junūñ-kār valvale
phir be-navā haiñ salma-o-rehāna āj-kal
phir sātgīñ uñDel ke saaqī ne rakh diye
uThtī hai har nigāh harīsāna āj-kal
afsāna ban ga.ī vo raqābat vo chashmakeñ
dast-e-karam hai dast-e-harīsāna āj-kal
'maz.har' hadīs-e-dard hai apnī har ek baat
har ashk-e-ġham hai ġhairat-e-durdāna āj-kal
Top Urdushayar.com