kaho ki tuur pe jaltā rahe charāġh abhī
mujhe sharāb se hāsil nahīñ farāġh abhī
abhī to bāda-parastī mirī shabāb pe hai
ravish ravish hai mire dam se baaġh baaġh abhī
jo sub.h-e-vasl tire gesuoñ se Tapkī thī
mahak rahā hai usī baaġh se dimāġh abhī
qayām-e-hashr zarā aur multavī kar do
ki mai-kade meñ khanakte haiñ kuchh ayāġh abhī
abhī jahannam-e-duniyā meñ aur jalne do
mirī jabīn-e-baġhāvat hai daaġh daaġh abhī
nahīñ hai fursat-e-tauba sharāb se 'maz.har'
ki faiz-e-yār se labrez hai ayāġh abhī