tumhāre qasre-āzādī ke memāroñ ne kyā paayā
jahāñ-bāzoñ kī ban aa.ī jahāñ-kāroñ ne kyā paayā
sitāroñ se shab-e-ġham kā to dāman jagmagā uThā
magar aañsū bahā kar hijr ke māroñ ne kyā paayā
naqīb-e-ahd-e-zarrīñ sirf itnā mujh ko batlā de
tulū-e-sub.h-e-nau bar-haq magar tāroñ ne kyā paayā
junūñ kī baat chhoḌo is ga.e ghar kā Thikānā kyā
fareb-e-aql o hikmat ke parastāroñ ne kyā paayā
sar-afrāzī milī ahl-e-havas kī pārsā.ī ko
magar terī mohabbat ke gunahgāroñ ne kyā paayā
khilaune de diye kuchh aap ne dast-e-tamannā meñ
ba-juz dāġh-e-jigar ā.īna-bardāroñ ne kyā paayā
milī sar phoḌte hī qaid-e-hastī se bhī āzādī
rukāvaT Daal kar zindāñ kī dīvāroñ ne kyā paayā
hamāre sāmne hī baiTh kar 'fārūq' masnad par
hamīñ se pūchhte ho phir ki ġhaddāroñ ne kyā paayā