Farooq Banspari

kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara

Farooq Banspari

Banspar, Uttar pradesh, India

1907-1968
kabhī be-niyāz-e-maḳhzan kabhī dushman-e-kinārā
kahīñ tujh ko le na Duube tirī zindagī kā dhārā
mirī quvvat-e-nazar kā ka.ī ruḳh se imtihāñ hai
kabhī uzr-e-lan-tarānī kabhī dāvat-e-nazārā
ġham-e-ishq hī ne kaaTī ġham-e-ishq kī musībat
isī mauj ne Duboyā isī mauj ne ubhārā
tire ġham kī parda-poshī jo isī kī muqtazī hai
to qasam hai tere ġham kī mujhe har ḳhushī gavārā
dam-e-sub.h-e-nau-bahārāñ jo kalī chaman meñ chaTkī
to gumāñ huā ki jaise mujhe aap ne pukārā
mire nāḳhudā na ghabrā ye nazar hai apnī apnī
tire sāmne hai tūfāñ mire sāmne kinārā
mirī kashti-e-tamannā kabhī ḳhushkiyoñ meñ Duubī
kabhī bahr-e-ġham kā tinkā mujhe de gayā sahārā
tirā haq bhī sar ba-zānū mirā kufr bhī pashīmāñ
mujhe āgahī ne luuTā tujhe ġhaflatoñ ne maarā
ye karam ye mehrbānī tirī 'fārūq'-e-hazīñ par
ye gila hai kyuuñ na baḳhshā mujhe shukriye kā yaarā
Top Urdushayar.com