Farooq Banspari

kohsar ka KHugar hai na paband-e-gulistan

Farooq Banspari

Banspar, Uttar pradesh, India

1907-1968
kohsār kā ḳhūgar hai na pāband-e-gulistāñ
āzād hai har qaid-e-maqāmī se musalmāñ
ghar kunj-e-qafas ko bhī banā letī hai bulbul
shāhīñ kī nigāhoñ meñ nasheman bhī hai zindāñ
allāh ke bandoñ kī hai duniyā hī nirālī
kāñTe koī botā hai to ugte haiñ gulistāñ
kah do ye qayāmat se dabe paañv guzar jaa.e
kuchh soch rahā hai abhī bhārat kā musalmāñ
ai shaiḳh-e-haram aaj tirā faisla kyā hai
saf-bandi-e-masjid ki saf-ārā.i-e-maidāñ
siine meñ shikam le ke ubhartī haiñ jo qaumeñ
ban jaatī haiñ āḳhir meñ ḳhud āzūqa-e-daurāñ
chaltī huī ik baat hai nā-mo'tabar ik chiiz
nā-ahl kī daulat ho ki nādār kā īmāñ
mullā kā ye fatvā hai ki 'fārūq' hai mulhid
ai dīn-e-mohammad tirā allāh nigah-bāñ
Top Urdushayar.com