Farooq Banspari

jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana

Farooq Banspari

Banspar, Uttar pradesh, India

1907-1968
jo rahā yuuñ hī salāmat mirā jazb-e-vālhāna
mujhe ḳhud karegā sajda tirā sañg-e-āstāna
rah-e-haq ke hādsoñ kā na sunā mujhe fasāna
tirī rahbarī ġhalat thī ki bahak gayā zamāna
maiñ jahān-e-hosh-o-irfāñ ba-libās-e-kāfirāna
ba-hijāb-e-pārsā.ī tū hama sharāb-ḳhāna
tujhe yaad hai sitamgar koī aur bhī fasāna
vahī zikr-e-āb-o-dāna vahī fikr-e-tā.erāna
mirī zindagī kā mahvar yahī soz-o-sāz-e-hastī
kabhī jazb-e-vālhāna kabhī zabt-e-ārifāna
tirā jazba-e-rifāqat mirā saath kaise degā
ki maiñ zinda-e-kohistāñ tū halāk-e-āshiyāna
mirī bazm-e-fikr meñ hai yahī kashmakash azal se
kabhī chhā ga.ī haqīqat to kabhī jam gayā fasāna
vo bajā.e aah 'fārūq' abhī vaah kar rahe haiñ
abhī dard se hai ḳhālī ye navā-e-āshiqāna
Top Urdushayar.com