ba-roz-e-hashr mire saath dil-lagī hī to hai
ki jaise baat koī aap se chhupī hī to hai
na chheḌo bāda-kasho mai-kade meñ vaa.iz ko
bahak ke aa gayā bechāra aadmī hī to hai
qusūr ho gayā qadmoñ pe loT jaane kā
burā na māniye sarkār be-ḳhudī hī to hai
riyāz-e-ḳhuld kā itnā baḌhā chaḌhā ke bayāñ
ki jaise vo mire mahbūb kī galī hī to hai
yaqīñ mujhe bhī hai vo ā.eñge zarūr magar
vafā karegī kahāñ tak ki zindagī hī to hai
mire baġhair añdherā tumheñ satā.egā
sahar ko shaam banā degī āshiqī hī to hai
ba-chashm-e-nam tirī dargāh se gayā 'fārūq'
ḳhatā muaaf ki ye banda-parvarī hī to hai