havā ne dosh se jhaTkā to aab par Thahrā
maiñ kuchh bhañvar meñ girā kuchh habāb par Thahrā
zamīñ se jazb ye pighlī sī nik.hateñ na huiiñ
urūs-e-shab kā pasīna gulāb par Thahrā
ġham o nashāt kā kitnā hasīn sañgam hai
ki taara aañkh se TuuTā sharāb par Thahrā
rupahlī jhiil kī maujoñ meñ iztirāb sā hai
qadam ye kis kā sunahre sarāb par Thahrā
maiñ lafz-e-ḳhām huuñ koī ki tarjumān-e-ġhazal
ye faisla kisī taaza kitāb par Thahrā